BOI Bank Of India KYC Form PDF Download

BOI Bank Of India KYC Form PDF Download

Hello friends, KYC ka full form “Know Your Customer” hota hai, iska hindi mein matlab “Apne Customer ko Jaanna” hota hai, is se bank apne account holders ko acchi tarah se janti hai, jaise ki bank account holder ka identity kya hai, uska address kya hai..etc, Is tarah se fraud hone ke chances kam ho jate hai. Isi Karan se bank account mein full KYC hona Jaruri kar diya gaya hai. Isliye aapko Bank Of India KYC form pdf download karke apne boi account me kyc update karwa lena chahiye.

Agar aapka bank of India account me full KYC updated nahi hai to uska temporary close ya hold kar diya jata hai, Iske baad aap jab tak usme KYC update nahi karwate hai tabtak kisi bhi tarah ka banking ka kam nahi kar sakte hai. Agar kisi ko apne boi account me kyc update karwana rahta hai to usko boi kyc form ki jarurat padti hai.

Kya aapko bhi apne bank account me kyc update karwana hai aur bank of india kyc form pdf download karna chahte hai. To aap bilkul sahi jagah par hai. Neeche se aap badi hi aasaani se is boi kyc update form ko download karke apna problem solve kar sakte hai.

Bank Of India KYC Form Pdf Download

Is form ko download karne ke liye neeche diye hue “Bank Of India KYC Application Form PDF Download” link par click kare. Iske baad yah form aapke device ke screen me khul jayega. Ab yaha se aap esko badi hi aasaani se “Save ya Download” kar sakte hai. Isliye isko aap turant download kar lijiye.

BOI KYC Application Form

Is tarah se aapke paas yah BOI kyc form pdf aa jayega. Abhi is form ko aap print karwa lijiye.

Disclaimer:- Is form ka copyright related bank ke paas hai. Ham is form ko yahapar kewal education and helping purpose se provide kar rahe hai. Agar yah form change ho gaya hai ya kisi tarah ka problem hai to iske liye ham kisi bhi tarah se responsible nahi honge. Aap apne responsiblity par yaha se is form ko download and use kar rahe hai.

BOI Bank Of India KYC Application Form Fillup.

Ab is form ki sahayta se kyc karwane ke liye sabse pahle is form ko achchhi tarah fillup karna

jaruri hai. Is form me aapko kuch details fillup karne padte hai.

  1. Aapke bank of india account se related details. Jaise- full name, bank account number, customer id — etc
  2. Aapka occupation and annual income se related details fill kar de.
  3. Identity proof information sahi jagah par fillup kare.
  4. Address proof information jaise – correspondence / local address details, current / permanent address details — proper jagah par fill kar de.
  5. Personal contant details, Jaise- mobile number, valid email id enter kar de.
  6. Appropriate jagah par apna ek current passport size photo chipka dijiye.

Isi tarah ke simple se information aapko fillup karna padega. Jaise hi ye aap kar lenge aapka Bank of india kyc form fillup complete ho jayega.

How To Update Bank Of India Account KYC

Is tarah se aapke paas yah boi kyc application form bhi aa gaya hai aur aapne isko achchhe se fillup bhi kar liya hai, Ab iske saath aap apna ek identity proof and ek address proof ka xerox copy self attested karke pinup (attach) kar dijiye.

Ab aapka documentation ka kaam ho gaya hai, Is complete set ko apne branch me submit kar dijiye, Aapke is form ko submit karne ke 1-3 working days me bank of india account kyc update kar diya jayega.

We hope aapko boi kyc form pdf download karna, isko fillup karna and isko use karke full kyc karwana aa gaya hoga. Agar aapko aur bhi kisi bank ke form ki jarurat hai to hame comment box me bataiye. Ham usko jaldi-se-jaldi available karwane ki puri kosis karenge.

Agar aapko is post se benefit hua to is post ko SHARE jarur kare aur is website ke baare me kam-se-kam 3 logon ko bataye. Is post ko pura padhne ke liye aapka bahut-bahut Dhanyawad.